Naksh-e-faryadi hai kis ki shokhiy-e-tahreer ka

Naksh-e-faryadi hai kis ki shokhiy-e-tahreer ka
Kagazi hai pairahan har paikar-e-tasweer ka
Kaw kaw-e-sakht jane hai tanhaie na poochh
Subha karna Shaam ka, lana hai joowey Sheer ka
Jazbai be akhtiyar shauk daikha Chahiye
synai shamsheer se bahar hai dam shamsheer ka
Aagahi dame shunidan jis qadar chahisyy bichhaye
Muddua anqa hai apne aalame taqreer ka
Bas ki hoon Ghalib ! aseeri mein bhi aatash zair pa
Mooai aatash deedah, hai halqah mari zanjeer ka

Tags :

No comments:

Post a Comment