Teri aankho ki namkeen mastiyaan



Teri aankhon ki namkeen mastiyaan 
Teri hansi ki beparwah gustaakhiyaan 
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan 
Nahin bhoolunga main 
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna 
Tera saayon ka rukh modna 
Tera palat ke phir na dekhna 
Nahin maaf karunga main 
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se 
Baat Baat pe bewajah tere roothne se 
Chhoti chhoti teri bachkaani badmaashiyon se 
Mohabbat karunga main 
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tere jhoothe kasme vaadon se 
Tere jalte sulagte khaabon se 
Teri bereham duaaon se 
Nafrat karunga main 
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

No comments:

Post a Comment